mujhse puchhe hain wo ki kya hai dil

mujh se puchhe hain wo ki kya hai dil
kya kahun khana-e-khuda hai dil

kya kahun kya buri bala hai dil
us ki zulfon se ja gutha hai dil

teri furqat mein ai but-e-dam-baz
ho ke aankhon se khun baha hai dil

mil ke us se hua mera dushman
dekh kya sakht bewafa hai dil

jab se aashiq hua hun us ka main
raat-din sirf muddaa hai dil

unsur-e-khak sard dil ye garm
kaun si khak se bana hai dil

ai muhawwis jo yar ke dar par
khak hoe to kimiya hai dil

gham-e-hijran mein ho ke qatra-e-khun
nok-e-mizhgan pe aa raha hai dil

sine mein ek khatak si hai bas aur
hum nahin jaante ki kya hai dil

yaad mein us ke tir-e-mizhgan ke
hadaf-e-nawak-e-bala hai dil

tujh se koi bhala mile kyun kar
tera har harf khud juda hai dil

qadr-e-dil 'aish' koi kya jaane
makhzan-e-raaz-e-kibriya hai dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close