muqabil us dur-e-dandan ke ye guhar kya hai

muqabil us dur-e-dandan ke ye guhar kya hai
aur 'aish' lal ki us lab ke aage dar kya hai

khayal-e-yar mein ho mahw-e-be-khudi aisa
mujhe khabar nahin dil kya hai aur jigar kya hai

kahe hai ishq mein naseh ki hai zarar dil ka
jo waqai hai zarar ye hai to zarar kya hai

kiya hai nuh ke tufan ko tu ne sharminda
irada ab tera kah aur chashm-e-tar kya hai

mila hai jis ko hasham qat-e-ma-siwa allah
nazar mein us ki ye duniya ka karr-o-far kya hai

tu meri aah se sina-sipar na ho ai charkh
tujhe khabar nahin is aah mein asar kya hai

tu rah-e-ishq ke sadmon se mat dara waiz
jo sarfarosh hain is rah mein un ko dar kya hai

hamara chaak-e-jigar bakhiya-gar siyega che khush
ye chaak wo nahin maqdur-e-bakhiya-gar kya hai

khayal jis ko rukh-o-zulf-e-yar ka hai bandha
wo jaanta hi nahin sham aur sahar kya hai

hai dil ko naz tere jis jahan-e-fani par
bata wo aur ba-juz khana-e-do-dar kya hai

tu kis ghamand pe misl-e-sharar uchhalta hai
khayal dil mein to kar hasti-e-sharar kya hai

khuda ne khola hai ye raaz jin pe aalam mein
wo jaante hain ki mahiyyat-e-ashar kya hai

buton ko sajda-e-dar ke siwa bata ai 'aish'
jahan mein hum ne kiya aur umr bhar kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close