mujh se shakeb-e-qalb ka saman na ho saka us par bhi dil ka raaz numayan na ho saka ye dil mita mita sa ye shoala bujha bujha ek aaftab se bhi farozan na ho saka suljhae teri zulf-e-pareshan ke bal magar qaem nizam-e-alam-e-imkan na ho saka tujh ko tere shabab ko rang-e-baqa diya apni hi zist ka koi saman na ho saka chhidki tere tabassum pinhan ki chandni khalwat ka rang phir bhi darakhshan na ho saka baitha raha jo gesu-e-mushkin ke sae mein wo paemal gardish-e-dauran na ho saka aaina aks-e-jalwa se tuta nahin kabhi dil yurish-e-jamal se hairan na ho saka nashshe mein tere panw pe girta jabin ke bal 'makhmur' itna kaif-ba-daman na ho saka