mujh se thoda sa bhi bezar nahin ho sakti zindagi meri taraf-dar nahin ho sakti kab talak aur chamakna hai sitaron ko wahan kya yahan par kabhi bauchhaar nahin ho sakti din ko ghaib ki zanjir se jakde rahna kyunki duniya to giraftar nahin ho sakti nae sayyaron ke milne pe khushi hoti hai ye zamin to mera ghar-bar nahin ho sakti jang darpesh ek aisi hai mujhe jis ke liye ummat-e-muslima tayyar nahin ho sakti aisi barish se mera jism bahal sakta hai par meri ruh to sarshaar nahin ho sakti ek paigham ki bhijwane mein itne waqfe kya yahi baat lagatar nahin ho sakti