us ke itne qarib hain hum to ab to khud ke raqib hain hum to sher kahte hain chhod kar sab kaam yar sach-much ajib hain hum to ye dua hai nawaz de ya rab ilm-o-fan se gharib hain hum to ibn-e-mariyam se apna rishta hai aashna-e-salib hai hum to ab talak ishq se hai mahrumi ab talak bad-nasib hain hum to hum to shair hain ai 'aman' goya is sadi ke adib hain hum to