mujh se to tar-tar gareban na ho saka ai ishq tujh pe koi bhi ehsan na ho saka ek main ki teri yaad na dil se bhula saka ek tu ki mere haal ka pursan na ho saka wo aah kya jo qahr-e-ilahi na ban saki wo ashk kya jo nuh ka tufan na ho saka kafir bhi mai-kade mein musalman ho gae lekin haram mein shaikh musalman na ho saka tha jin ko naz apni masihai par bahut un se bhi mere dard ka darman na ho saka kah do to dil ko chir ke sabit karun abhi tere baghair koi bhi mehman na ho saka ye baat sach hai ulfat-e-sarshaar ke baghair 'bismil' main anjuman mein ghazal-khwan na ho saka