mujrimon par nigah-e-lutf-e-zamana dekhun

mujrimon par nigah-e-lutf-e-zamana dekhun
be-gunahon ko main zalim ka nishana dekhun

meri nazren to bulandi ki taraf rahti hain
tu hai shahin mera tera thikana dekhun

uf wo aankhen ki sitare simat aaen jin mein
hae wo chaal ki pamal zamana dekhun

yas mein dubi hui sham ki tanhai mein
main dabe panw teri yaad ka aana dekhun

pech-o-kham jism ke khud dawat-e-nazzara hain
in hi modon mein utarne ka bahana dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close