qadmon ke tere bikhre hue jo nishan hain

qadmon ke tere bikhre hue jo nishan hain
guzri hui bahaaron ke ye tarjuman hain

rah-e-najat dur bahut dur ho gai
phir kal ke dost aaj mere ham-'inan hain

ab aur apni zat ki tausia kya karen
hum khud simat ke aap zaman-o-makan hain

gard-o-ghubar-e-manzil-e-maqsud ban ke hum
aks-e-jamal-e-aina-e-karwan hain

ab is khandar mein dip jalate ho kyon 'shafiq'
aashaon ke mahal jo the viran makan hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close