mujtama gar meri aahon ka dhuan ho jaega aasman ek aur zer-e-asman ho jaega ek jahannam hai nihan sine mein zaea kar na tir aate aate dil talak jal kar dhuan ho jaega un ke aage haal mera dawar-e-mahshar na puchh mil gain nazren to kuchh ka kuchh bayan ho jaega khak ho ke phir bhi kaam aaega mera dagh-e-dil sham-e-ghurbat mein charag-e-karwan ho jaega apne markaz ki taraf har chiz karti hai rujua tinka tinka kar ke ek din aashiyan ho jaega