bad-tar hai maut se mera jina tere baghair duniya nahin hai ab meri duniya tere baghair kuchh bhi raha na zist ka qissa tere baghair khamosh yan zaban hain goya tere baghair be-raunaqi jumud tattul sukut-e-marg aisa hai kaenat ka naqsha tere baghair yaksui-e-khayal ki ab lazzaten kahan dar dar bhatak rahi hai tamanna tere baghair barbaadiyon se rabt ajal se hai saz-baz sar-garmiyan junun ki hain kya kya tere baghair be-kar hai har ek parastish jo tu nahin barbaad hain kunisht-o-kalisa tere baghair thi dil se hi kashakash-e-naz-o-niyaz sab hoga na husn-o-ishq ka charcha tere baghair hansna teri nazar ke tabassum ke sath tha ab zakhm zakhm hai mera rona tere baghair lachaar ho ke baith gain chaara-saziyan hoga tera mariz na achchha tere baghair yak-bargi zamane ki raftar ruk gai bhula hai waqt aah guzarna tere baghair name se tere kya ho parayon ko wasta apna hua na jab koi apna tere baghair