mukammal zindagi karne ki chahat kuchh nahin hoti jo lamha mil gaya ji lo riyazat kuchh nahin hoti jise mahrumiyan milti hain wo hi jaan sakta hai zabani hausla jhuti murawwat kuchh nahin hoti use chaha to ye socha mohabbat hi sabhi kuchh hai use parkha to ye jaana mohabbat kuchh nahin hoti kisi ne chhod kar jaana ho to phir chhod jata hai bichhadna ho to sadiyon ki rifaqat kuchh nahin hoti talluq tut jae to safine dub jate hain ye sab kahne ki baaten hain haqiqat kuchh nahin hoti