use barishon ne chura liya ki wo baadalon ka makin tha kabhi mud ke ye bhi to dekhta ki mera wajud zamin tha wahi ek sach tha aur us ke ba'd ki sari tohmaten jhut hain mere dil ko pura yaqin hai wo mohabbaton ka amin tha use shauq tha ki kisi jazire pe us ke nam ka phul ho mujhe pyar karna sikha gaya mera dost kitna zahin tha kabhi sahilon pe phiroge to tumhein sipiyan hi bataengi meri aankh mein jo simat gaya wahi ashk sab se hasin tha tujhe kis tarah se khabar hui ki meri hayat sanwar gai zara apne dil se to puchh le ye guman tha ki yaqin tha