mukh-phaT munh pe khaenge talwar ho so ho

mukh-phat munh pe khaenge talwar ho so ho
dabne ke bhi to us se nahin yar ho so ho

jaana mujhe bhi ab taraf-e-yar ho so ho
ya bole ya batae wo dhutkar ho so ho

sayyaad ko to khwab-e-taghaful se kaam hai
ahwal-e-tairan-e-giraftar ho so ho

saudai ban ke us pe mujhe hath dalna
hangama is mein jo sar-e-bazar ho so ho

ji par yahi thani hai to aaj us ko chhed kar
khani mujhe bhi galiyan do chaar ho so ho

go is mein hatha-pai bhi ho jawe dar nahin
lunga main us ka bosa-e-rukhsar ho so ho

mujh ko bhi katni qafas apne ki tiliyan
ya tute ya bache meri minqar ho so ho

shikwa kabhi na yar ka lawenge munh pe hum
hum par jafa-e-charkh-e-sitam-gar ho so ho

apni shifa ko apne khuda par tu chhod de
aakhir to maut hai dil-e-bimar ho so ho

mani shabih-e-yar pe mat aap ko mita
lunga bana main tujh se jo tayyar ho so ho

ai dil! tu sada-ruyon ki bhapki mein aa na ja
ek din lipat ke chhin le talwar ho so ho

sar phod kar ke jaenge us ki gali mein hum
rangenge khun se dar-o-diwar ho so ho

sanan ki tarah ek but-e-kafir ke ishq mein
kafir ho bandhna hamein zunnar ho so ho

leni mata-e-husn hamein is mein tajiro!
nuqsan-e-jaan-o-mal-e-dil-e-zar ho so ho

shokhi hai teri taba mein shiddat se 'mushafi'
le bhag sar se shaikh ke dastar ho so ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close