kal bare hum se is se mulaqat ho gai do do bachan ke hone mein ek baat ho gai kin kin musibaton se hui subh sham-e-hijr so zulfen hi banate use raat ho gai gardish nigah-e-mast ki mauquf saqiya masjid to shaikh ji ki kharabaat ho gai dar zulm se ki us ki jaza bas shitab hai aaya amal mein yan ki mukafat ho gai khurshid sa pyala-e-mai be-talab diya pir-e-mughan se raat karamat ho gai kitna khilaf wada hua hoga wo ki yan nau-midi-o-ummid musawat ho gai aa shaikh guftagu-e-pareshan pe to na ja masti mein ab to qibla-e-hajat ho gai tak shahr se nikal ke mera girya sair kar goya ki koh-o-dasht pe barsat ho gai didar ki gursangi apni yahin se dekh ek hi nigah yaron ki auqat ho gai apne to hont bhi na hile us ke ru-ba-ru ranjish ki wajh 'mir' wo kya baat ho gai