mukhtasar hi sahi mayassar hai jo bhi kuchh hai nahin se behtar hai din-dahade gunah karta hun mo'tabar ho na jaun ye dar hai manch par kaamyab ho ki na ho mujh ko kirdar apna azbar hai sab ko pathra diya palak jhapke hum na kahte the shobada-gar hai ain mumkin hai wo palat aae mera iman mojazon par hai pahle mausam pe tabsira karna phir wo kahna jo dil ke andar hai sare manzar hasin lagte hain duriyan kam na hon to behtar hai raste bain kar rahe hain kyun kya masafat ye intiha par hai fasl boi bhi hum ne kati bhi ab na kahna zamin banjar hai