tanhaiyon mein ashk bahane se kya mila khud ko diya bana ke jalane se kya mila mujh se bichhad ke ret sa wo bhi bikhar gaya us jaane wale shakhs ko jaane se kya mila ab bhi mere wajud mein har sans mein wahi main sochta hun us ko bhulane se kya mila tu kya gaya ki dil mera khamosh ho gaya in dhadkanon ke shor machane se kya mila apne hi ek dard ka chaara na kar sake sare jahan ka dard uthane se kya mila jis ke liye likha use wo to na sun saka wo git mahfilon ko sunane se kya mila un ka har ek harf hai dil par likha hua us dost ke khaton ko jalane se kya mila socho zara ki tum ne zamane ko kya diya kyun sochte ho tum ko zamane se kya mila