mukhtasar waqt hai par baaten kar zindagi beach safar baaten kar aa kabhi hujra-e-dil mein mere raat ke pichhle pahar baaten kar chal chala jaun tujhe le kar main phir kisi khwab-nagar baaten kar chhod kar duniya-o-din ki baaten hai to dushwar magar baaten kar lam-yazal sher ki surat tu bhi masnad-e-dil pe utar baaten kar zindagi raqs mein hai meri jaan baith ja shor na kar baaten kar tere ehsas ko taswir karun ab to kaghaz pe ubhar baaten kar guftugu tujh se karun aise mein khulne lagta hai hunar baaten kar baat ka izn diya jab us ne phir tujhe kis ka hai dar baaten kar teri takmil hua chahti hai chaak se ab tu utar baaten kar