chhoDiye baqi bhi kya rakkha hai un ke qahr mein

chhodiye baqi bhi kya rakkha hai un ke qahr mein
jaan durweshon ko pyari hai hamare shahr mein

dekhiye kya hashr hota hai hamara dahr mein
shahryari ki tamanna aur tere shahr mein

dekhne wale ko sara hi samundar chahiye
sochne wala samundar soch le ek lahr mein

dekhiye tasir khali zahr mein hoti nahin
zindagi sukhi mila kar khaiga zahr mein

un se yun tashbih deta hun ki wo bhi dur hain
warna kya milta hai tujh mein aur mah o mahr mein

tangi-e-haiat se takraata hua josh-e-mawad
shaeri ka lutf aa jata hai chhoti bahr mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close