mulzim Thahri main apni sachchai se

mulzim thahri main apni sachchai se
jhut ne bazi mar li pai pai se

haq-talfi bhi khamoshi se sah jaen
faisla karna mushkil hai danai se

us ko sochte rahna achchha lagta hai
kaisa nata jud gaya us harjai se

badle mein wo sansen girwi rakh lega
bach ke rahna aaj ke hatim-tai se

koi mujh mein rahta hai mujh se chhup kar
dar nahin lagta ab apni tanhai se

bhule se aa jae wo chhat par ek din
chand ko dekhun main apni angnai se

taza-dam rakhti hai teri khushbu hi
mujh ko nisbat kya gulshan-arai se

phul se lahje zakhm jahan dete hain ghazal
darti hun aisi izzat-afzai se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close