siyahiyon ka nagar raushni se aT jae

siyahiyon ka nagar raushni se at jae
bahut tawil hai ya-rab ye raat kat jae

zamin ka rizq hun lekin nazar falak par hai
kaho falak se mere raste se hat jae

tamam raat sitara yahi pukarta tha
hawa ke sath chalo baadban na phat jae

meri ghazal ka hai 'anwar-sadid' ye hasil
mata-e-dard mere doston mein bat jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close