mumkin nahin ki faiz-e-junun raegan rahe ye bhi to ek nishan hai ki hum be-nishan rahe aajiz teri talash mein kaun-o-makan rahe ab jo tujhe talash kare wo kahan rahe be-wasta nazara-e-shan-e-jamal kar ye bhi hai ek khata ki nazar darmiyan rahe taufiq de ki pesh karun gham ko is tarah duniya ko mere gham pe khushi ka guman rahe sham un ki ek ada hai sahar un ka ek nur yani ki wo ayan na hue aur ayan rahe bakhsha hai mujh ko un ki nazar ne zahe karam wo hosh jis pe be-khabari ka guman rahe shauq-e-sukhan fuzul hai 'shahid' baghair-e-ishq dil mein koi khalish ho to munh mein zaban rahe