ye kya ki chehra naqab-andar-naqab rakkho yahi hai kafi bacha ke aankhon ki aab rakkho kaha ye kis ne ki roz-o-shab ka hisab rakkho ba-nam-e-jaan karb-e-mustaqil ka azab rakkho saron ke upar se jo tumhaare guzar gai hai hamare hisse mein dosto wo kitab rakkho rah-e-tamanna mein jin se raqsan hon mah-o-anjum tum apni aankhon mein raushni ke wo khwab rakkho bhatak na jae koi musafir rah-e-talab mein har ek naqsh-e-qadam mein tum aaftab rakkho ufuq-ufuq aaftab-e-taza ki zau-fishani jo ho sake to nazar-nazar inqalab rakkho mera taaruf hai nam mera kalam mera tumhein mubarak tum apne sare khitab rakkho