munafa mushtarak hai aur khasare ek jaise hain ki hum donon ki qismat ke sitare ek jaise hain main ek chhota sa afsar hun wo ek mota sa mil-owner magar donon ke income goshware ek jaise hain ise zoaf-e-basirat use zoaf-e-basarat hai hamare dida-war sare ke sare ek jaise hain mutton aur dal ki qimat barabar ho gai jab se yaqin aaya ki donon mein harare ek jaise hain jahan bhar ke siyasi danglon mein hum ne dekha hai anuki ek se ek uncha hai jhaare ek jaise hain wo thana ho shifa-khana ho ya phir dak-khana ho rifah-e-am ke sare idare ek jaise hain surur-e-jaan-faza deti hai aaghosh-e-watan sab ko ki jaise bhi hon bachche man ko pyare ek jaise hain bala ka farq hai london ki gori aur kali mein magar donon ki aankhon mein ishaare ek jaise hain har ek begam agarche munfarid hai apni saj-dhaj mein magar jitne bhi shauhar hain bichaare ek jaise hain koi khush-zauq hi 'shahid' ye nukta jaan sakta hai ki mere sher aur nakhre tumhaare ek jaise hain guman hota hai 'shahid' radio par sun ke mausiqi ki pakke rag aur namkin gharare ek jaise hain