munawwar jism-o-jaan hone lage hain ki hum khud par ayan hone lage hain ba-zahir to dikhai de rahe hain ba-baatin hum dhuan hone lage hain jinhen tarikh bhi likhte daregi wo hangame yahan hone lage hain bahut se log kyun jaane achanak tabiat par giran hone lage hain faza mein murtaish bhi be-asar bhi hum aawaz-e-azan hone lage hain siyasi log ab chole badal kar khuda ke tarjuman hone lage hain jo hum ko jaan se badh kar chahte the nasib-e-dushmanan hone lage hain wo chingari jo ain-e-muddaa hai to hum shola-ba-jaan hone lage hain kabhi the nafa apna aap hum bhi magar ab to ziyan hone lage hain aziyat-koshiyon ka faiz dekho masail dastan hone lage hain bayan hum ko karega wo kahan se ki hum to khud bayan hone lage hain zara aape mein rakkho khud ko 'akmal' ki bachche ab jawan hone lage hain