mund kar aankhen talash-e-bahr-o-bar karne lage log apni zat ke andar safar karne lage manjhiyon ke git sun kar aa gaya dariya ko josh sahilon pe raqs tezi se bhanwar karne lage badh gaya hai is qadar ab surkh-ru hone ka shauq log apne khun se jismon ko tar karne lage bandh de shakhon se tu mitti ke phal kaghaz ke phul ye taqaza rah mein ujde shajar karne lage ganw mein kachche gharon ki qimaten badhne lagin shahr se naql-e-makani ahl-e-zar karne lage jaise har chehre ki aankhen sar ke pichhe aa lagin sab ke sab ulte hi qadmon se safar karne lage ab padhe-likkhe bhi 'sajid' aa ke bekari se tang shab ko diwaron pe chaspan poster karne lage