rakhna kham-e-gesu mein ya dil ko riha karna kuchh kah to sahi zalim aakhir tujhe kya karna kya tum se ziyaada hai duniya mein hasin koi iman se kah dena insaf zara karna sahni bhi jafa un ki karni bhi wafa un se un ki bhi khushi karni dil ka bhi kaha karna bosa bhi mujhe dena honton mein bhi kuchh kahna jine ki dawa dena marne ki dua karna tirchhi chitwan ne lakhon hi kiye bismil ai turk tera nawak kya jaane khata karna be-dad ka ab shikwa beja hai 'nasim' un se tha tum ko mohabbat ka izhaar hi kya karna