mund kar bas aankh apni un manazir ke khilaf kar rahe hain hum baghawat daur-e-hazir ke khilaf tujh talak aawaz meri jate jate kho gai raste sab ho gae hain is musafir ke khilaf hausla jo hai to lalkaro khuda ko bhi kabhi kya milega tum ko ho kar hum se kafir ke khilaf ek adna dil ke hathon donon hain majbur hum aao thamen hath hum us shai-e-shatir ke khilaf ek taraf tha main nihattha ek taraf wo gul-badan ishq ki bazi main haara ek mahir ke khilaf ek ek kar ke sabhi purze usi ke ho gae ab badan mein hun main tanha husn-e-jabir ke khilaf 'ashna' phir khwab mein aaya nahin tu raat bhar tu bhi shayad ho gaya hai ek shair ke khilaf