nai ek nazm ka unwan rakkhun

nai ek nazm ka unwan rakkhun
phir is mein wasl ke imkan rakkhun

ho mushkil jis se mujh ko mar pana
kisi chidiya mein apni jaan rakkhun

mile koi jo mera dhyan rakkhe
main us ka had se zyaada dhyan rakkhun

zara dekhun ki kya kya bolti hai
kisi diwar par ye kan rakkhun

badha dun mushkilen duniya ki aise
main khud ko auron se aasan rakkhun

khuda hona to mumkin hi nahin hai
so behtar hai use insan rakkhun

mera mazhab hai kya kyon puchhte ho
main pandit hath mein quran rakkhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close