munh andhere teri yaadon se nikalna hai mujhe aur phir mazi ka pairahan badalna hai mujhe parbaton par subh ki si dhup hun main in dinon jaanta hun ab dhalanon par phisalna hai mujhe war se bachna to hai hi war ek karna bhi hai aur in ke bich hi ruk kar sambhalna hai mujhe mujh pe hi aa kar tikin bedar aanhken is liye ban ke jugnu aas ka har raat jalna hai mujhe ai meri masrufiyat mujh ko zarurat hai teri ek purane gham ka sar phir se kuchalna hai mujhe ek udasi ka samundar hai mere andar kahin han usi mein sham ke suraj sa dhalna hai mujhe main kisi muflis ka ji hun yun nahin to yun sahi bas zara si baat se hi to bahalna hai mujhe main koi but to nahin 'atish' mulaem barf ka aanch se ek din magar apni pighalna hai mujhe