ye arz-e-shauq hai aaraish-e-bayan bhi to ho

ye arz-e-shauq hai aaraish-e-bayan bhi to ho
ada-shanas to hai aankh khun-chakan bhi to ho

khuda khafa hai to sachche hain nasehan-e-aziz
hamare lab pe kabhi shikwa-e-butan bhi to ho

ye rang-o-nikhat-o-tarkib-o-lafz khira-sari
ze-rah-e-dida ba-dil-mauj-e-khun-rawan bhi ho

hamein bhi naghmagari par hai naz baat to kar
hamein bhi jaan nahin pyari hai imtihan bhi to ho

abhi to hun dar-o-diwar hi se mahw-e-kalam
harif-e-daulat-e-gham koi raazdan bhi to ho

qatil-e-naz hun ai wa-e-e'timad-e-wafa
wo iltifat kare pahle bad-guman bhi to ho

kisi ko un se mohabbat kisi ko mujh se hasad
milen wo mujh se magar koi darmiyan bhi to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close