munh apni riwayat se phera nahin karte

munh apni riwayat se phera nahin karte
dushman ko achanak kabhi ghera nahin karte

diwar ke pichhe koi rahzan na chhupa ho
is waste hum ghar mein andhera nahin karte

jis ped ki chhanw bhi lage dhup ki surat
us ped pe panchhi bhi basera nahin karte

aankhon se na padh le koi chehre ki udasi
us dar se kabhi zikr wo mera nahin karte

bas yunhi hamein yaad to aa jata hai warna
danista kabhi tazkira tera nahin karte

hum sinchte hain kisht-e-sahar apne lahu se
mange hue suraj se sawera nahin karte

lahraate hain shanon pe 'hasan' zulf wo kam kam
saya to wo karte hain ghanera nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close