na wo iqrar karta hai na wo inkar karta hai hamein phir bhi guman hai wo hamin se pyar karta hai main us ke kis sitam ki surkhiyan akhbar mein dekhun wo zalim hai magar har zulm se inkar karta hai munderon se koi manus si aawaz aati hai koi to yaad hum ko bhi pas-e-diwar karta hai ye us ke pyar ki baaten faqat qisse purane hain bhala kachche ghade par kaun dariya par karta hai hamein ye dukh ki wo aksar kai mausam nahin milta magar milne ka wada hum se wo har bar karta hai 'hassan' raaton ko jab sab log mithi nind sote hain to ek khwab-ashna chehra hamein bedar karta hai