munh chhupae hue bhaTkegi hawa mere baad

munh chhupae hue bhatkegi hawa mere baad
saz ho jaegi sahra ki sada mere baad

saf aate hain nazar jis mein sabhi ke chehre
aaine par na rahegi wo jila mere baad

be-libasi hi muqaddar tha magar ham-nafaso
tan chhupane ko mili tum ko rida mere baad

mere alfaz ko tawiz bana kar rakh lo
warna uth jaegi duniya se wafa mere baad

'saqi' is aas pe kuchh kahne ki himmat ki hai
kash dohrae koi mera kaha mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close