ya-rab kabhi qubul meri ye dua bhi ho tu ne badan diya hai badan par qaba bhi ho baithe hain dil mein le ke bulandi ki aarzu lekin hamare khun mein paida huma bhi ho tira-shabi ka raaz samajh paega wahi jo aaftab ho ke kahin par bujha bhi ho maghruriyat ki had ko kahin wo na ja lage har aadmi mein hasb-e-zarurat ana bhi ho sahra mein raqs karne se kuchh faeda nahin ai abr aa idhar ki ye jangal hara bhi ho