munh jo furqat mein zard rahta hai kuchh kaleje mein dard rahta hai thi kabhi rashk-e-mahr ke aashiq dhup ka rang zard rahta hai kis ke sunte ho raat ko nale kahte ho sar mein dard rahta hai kabhi puchha na mere kuche mein kaun sahra-naward rahta hai shor hai zard aai hai aandhi kya mera rang zard rahta hai yaad aati hain garmiyan teri dil hamara bhi sard rahta hai kahte ho tujh ko dekhte hain hum banda sahra-naward rahta hai jis taraf baithte the wasl mein aap usi pahlu mein dard rahta hai kahte hain dil ki chot ka hai fasad munh 'tashshuq' jo zard rahta hai