munh tera kyun aaj zor-e-na-tawani phir gaya us ke aate hi mere chehre pe pani phir gaya bhul kar aashiq tumhaara ja raha tha tur par dur se sun kar sada-e-lan-tarani phir gaya zillat-o-ruswai ki had bhi hai koi dub mar ai dil-e-nakaam ab to sar pe pani phir gaya us ke aage tu ne phailaya agar dast-e-sawal yaad rakh ai dil suluk-e-mehrbani phir gaya dil mitaya teri khatir jaan ki parwa na ki kis liye tu hum se ai ahd-e-jawani phir gaya be-sutun ko kat kar laya tha zalim ju-e-shir kohkan ki hasraton par phir bhi pani phir gaya pattiyan pazhmurda phulon ki chaman mein dekh kar samne aankhon ke daur-e-aish-e-fani phir gaya kal khili thi jo kali hai aaj murjhai hui meri nazron mein maal-e-zindagani phir gaya bul-hawas ka munh ho kala kan mein kya kah diya aap ke chehre pe rang-e-arghawani phir gaya barq ban kar aaj wo mahfil mein aae is tarah meri aankhon mein mera ahd-e-jawani phir gaya bhar ke saqi ne diya jam-e-sharab-e-arghawan 'shad' ke chehre pe rang-e-shadmani phir gaya