munh-zor aarzuon ki be-mehriyan na puchh begana ho rahi hain ye la kar kahan na puchh fehrist muhsinon ki nihayat tawil hai mujh se meri tabahiyon ki dastan na puchh mujh ko panah di na tere gham ne bhi kabhi main de raha hun kitne ghamon ko aman na puchh har zakhm chand zakhmon ki karta hai parwarish kaise sada-bahaar hai ye gulsitan na puchh dasht-e-wafa ki wusaton ko pa saka hai kaun gum kis qadar hue hain yahan karwan na puchh wabasta mod mod se hain kitne hadsat ye qatl-gah hai ki dayar-e-butan na puchh