wo ishq jo hum se ruth gaya ab us ka haal bataen kya koi mehr nahin koi qahr nahin phir sachcha sher sunaen kya ek hijr jo hum ko lahaq hai ta-der use dohraen kya wo zahr jo dil mein utar liya phir us ke naz uthaen kya phir aankhen lahu se khali hain ye shamen bujhane wali hain hum khud bhi kisi ke sawali hain is baat pe hum sharmaen kya ek aag gham-e-tanhai ki jo sare badan mein phail gai jab jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachaen kya hum naghma-sara kuchh ghazlon ki hum surat-gar kuchh khwabon ke be-jazba-e-shauq sunaen kya koi khwab na ho to bataen kya