munim na hath khinch madad se gharib ki rozi hai tere rizq mein us ke nasib ki hairan-kun thi chup bhi tumhaari mere liye bole ho ab to baat bhi tum ne ajib ki saman-e-aish dekh ke bazm-e-nashat mein rahti hai shab kis ko nasihat tabib ki kab tak karoge ahl-e-siyasat pe e'tibar yaro kabhi suno kisi shair adib ki ho jin ki sab tawajjoh samundar ke us taraf un ko sada sunai na degi qarib ki sina-ba-sina karti hai ye har taraf safar haq baat ko nahin hai zarurat naqib ki 'basir' bila muqabla wo muntakhab hua meri shikasta-pai hai mohsin raqib ki