munjamid aakhir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja chaar jaanib ai mere khun ke samundar phail ja meri aawara-mizaji ka rakha tu ne bharam ai ghubar-e-dasht aa sine ke andar phail ja aa tujhe apni nazar se bhi rakhun mahfuz main shauq se mujh mein sama andar hi andar phail ja tazkaron ka odh jama ai meri zinda-dili har nae qasbe mein ja basti mein ghar ghar phail ja aah-o-zari chhod apni zat se bahar nikal qahqahe ki gunj ban kar aasman par phail ja