kya koi yaad tere dil ko dukhati hai hawa sard sannate mein kyun shor machati hai hawa ye khabar di hai parindon ne chalo sunte hain jhil ke pas koi git sunati hai hawa bagh murjhae chaman roya hue dasht udas sab ko mayus kahan chhod ke jati hai hawa khushbuon aao thahar jao hamare aangan phir ishaaron mein bahaaron ko bulati hai hawa jo gaya laut ke aaya hi nahin sarhad se ab kise dasht mein aawaz lagati hai hawa jhund mein lautne lagte hain sunahre panchhi sukhti shakhon pe jab phul khilati hai hawa khair-maqdam ke liye band dariche kholo naz-o-andaz se kis shan se aati hai hawa