munqalib surat-e-haalat bhi ho jati hai din bhale hon to karamat bhi ho jati hai husn ko aata hai jab apni zarurat ka khayal ishq par lutf ki barsat bhi ho jati hai dair o kaba hi is ka na talluq samjho zindagi hai ye kharabaat bhi ho jati hai jabr se taat-e-yazdan bhi hai bar-e-khatir pyar se aadat-e-khidmat bhi ho jati hai dawar-e-hashr mujhe apna musahib na samajh baz auqat khari baat bhi ho jati hai hashr mein le ke chalo mutrib o mashuq o subu ghair ke ghar mein kabhi raat bhi ho jati hai baz auqat kisi aur ke milne se 'adam' apni hasti se mulaqat bhi ho jati hai