dekh kar ek jalwe ko tere gir hi pada be-khud ho musa un aankhon ke sadqe jaun jo hain har-dam mahw-e-tamasha zohd-o-wara par bhul na zahid husn ka munkir ho na diwane sanan se ko le gaya ghafil ek ada mein ishwa-e-tarsa dekh tajalli husn ki tere koh bahe jab ho kar pani diwana sa bhaga wohin chaak gareban kar ke dariya kyun na gareban phadun apna hath aur mera us ka daman talea hain aa kar ke hua hai daman-e-yusuf dast-e-zulekha roz ke wade roz bahane roz ye kahna aaunga kal faeda kya in baaton ka hai hum ne miyan bas tum ko dekha zulf-e-moambar us ne jo kholi to yun mahfil sari mahki aawe chaman se mausam-e-gul mein baad-e-saba ka jaise jhonka madh mein bhara hai jauban ke wo husn se us ke tapke hai masti chah-e-zaqan hai jam-e-bilorin aur ghabghab hai shisha-e-sahba nim nigah par dete hain dil ko jaano to kuchh le lo sahab phir na milega warna tum ko hargiz aisa sasta sauda kyun na chhake dil dekh ke us ko jis saqi ka howe yaro dast-e-nigarin panja-e-marjaan saad-e-simin gardan-e-mina 'mushafi' kar ke chaak gareban chal jangal ko ai diwane dekh to kya phula hai lala surkh hai kaisa daman-e-sahra