muntashir har shai qarine se saja di jaegi ya mere kamre ki shakhsiyyat mita di jaegi sath rakhiye kaam aaega bahut nam-e-khuda khauf gar jaga to phir kis ko sada di jaegi aag bhadkegi hawa pa kar bada sach ye nahin sach bada ye hai ki shoalon ko hawa di jaegi be-thikana yun kiya jaega ek jalta charagh taqche mein mom ki gudiya bitha di jaegi aaina haalat ka aaega jo bhi dekhne koi umda si ghazal us ko suna di jaegi bolne par koi pabandi nahin kuchh boliye han magar aawaz utthegi daba di jaegi sar-ba-kaf ho jaenge pir-o-jawan sab dekhna desh ki khatir mata-e-jaan luta di jaegi ghair-mumkin kuchh nahin duniya mein lekin 'ehtiram' aap ki sohbat bhala kaise bhula di jaegi