shaeri mujh ko ajab haal mein le jati hai kabhi matam kabhi dhammal mein le jati hai mein kisi chashm-e-nigah-dar ki had mein hun ki jo mujh ko wapas mere ahwal mein le jati hai meri khwahish badi tafsil-talab hai lekin teri surat mujhe ijmal mein le jati hai main bichhata hun musalla sar-e-mehrab-e-niyaz phir ibaadat mujhe patal mein le jati hai main to sunta hi nahin hun koi guftar-e-khirad ye kabhi qil kabhi qal mein le jati hai ras aai na mujhe aaina-khane ki chamak ye meri shakl ko ashkal mein le jati hai khud-faramoshi ki ek lahr kahin se aa kar ek do bar mujhe sal mein le jati hai is liye sota nahin main ki nigar-e-duniya khema-e-khwab se pindal mein le jati hai