muntashir shahzad-gan-e-dil ka shiraaza na ho

muntashir shahzad-gan-e-dil ka shiraaza na ho
kash yaron ki hansi fitnon ka ghammaza na ho

ab wo sone ka sahi lekin mere kis kaam ka
jis makan mein koi khidki koi koi darwaza na ho

wo jawan khun aur us par nashsha-e-dida-wari
kya karen wo bhi jo mere gham ka andaza na ho

yaad hai kuchh tum ne kal khaka udaya tha mera
phul si aankhon mein shabnam kal ka khamyaza na ho

phir junun kyun-kar saje duniya ko kaise rang de
bais-e-tahrik agar yaron ka aawaza na ho

kash mere gham ka saya bhi rahe apnon se dur
kash ab yakja meri yaadon ka shiraaza na ho

aa gale milne se pahle kyun na mil kar dekh len
dil ke tah-khane mein koi chor darwaza na ho

wo to murda hain unhen ehsas ki khushbu se kya
apne andaz-e-nazar ka jin ko andaza na ho

kash ai 'ghausi' zamane bhar ka bachpan laut aae
sab ke chehron par haqiqi nur ho ghaza na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close