sab kuchh to zindagi ki mata-e-safar mein hai jab tum nazar mein ho to zamana nazar mein hai yun bhi to soch naz-kash-e-husn-e-dostan tera bhi kuchh maqam kisi ki nazar mein hai padh lete hain wo sab ki nazar se dilon ka haal andar se kaun kya hai sab un ki nazar mein hai kyun ho raha hai tajziya-e-jaur-e-na-rawa taswir ka ye rukh bhi kisi ki nazar mein hai yaro shikar-e-waqt hun ya aasman-shikar jo kuchh bhi hun sab ahl-e-nazar ki nazar mein hai ab kya shikayat-e-rawish-e-dostan karun 'ghausi' meri kami bhi to meri nazar mein hai