muntashir tare piro kar kahkashan paida karo

muntashir tare piro kar kahkashan paida karo
bhid se afrad ki ek karwan paida karo

aur sab kuchh baad mein ai sahiban-e-takht-o-taj
sab se pahle mulk mein amn-o-aman paida karo

surkh-ru kar de tumhein ek bar phir aqwam mein
apne andar aisi waza-e-raftagan paida karo

sai-e-paiham aur iman lazim-o-malzum hain
misl-e-marwa paon se aab-e-rawan paida karo

aah se mazlum ki aatish-fishan bedar kar
jo jala kar khak kar de wo fughan paida karo

gharq kar do zalimon ko daur-e-istibdad ko
arq-e-peshani se bahr-e-be-karan paida karo

bastiyan aabaad kar do shahr-e-jaan raushan karo
shoala-e-soz-e-nihan se bijliyan paida karo

hijraten kab tak karoge charkh-e-kohna ke tale
ek zamin mahfuz aur ek aasman paida karo

aasman-bandi karo haaro na hargiz hausla
ek par hi bas nahin sat aasman paida karo

kuchh zaruri to nahin 'shahid' ki lao ju-e-shir
mashq-e-tesha ke liye koh-e-giran paida karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close