nahin malum kyon nyara lage hai sitam-gar hai magar pyara lage hai nazar qatil adaen jaan-lewa badun hathiyar hattyara lage hai ghazab mein wo jalal-e-mehr-e-taban tabassum mein wo mah-para lage hai jigar thame khada hai raste mein ye koi dard ka mara lage hai bahut umid ne dhoke diye hain badi makkar ayyara lage hai jamal-arai ka hai ab ye aalam hai sin sattar ka atthaarah lage hai khuda sab ka khuda hai shaikh sahab wahi mera jo tumhaara lage hai 'adu kyon aaj hai mahfil se ghaeb hua nau aur do gyarah lage hai safar kam mukhtasar hai zindagi ka ki 'arsa 'umr ka sara lage hai hawa mein mahl sab kyon hain banate na patthar int aur gara lage hai hua ehsas-e-tanhai ziyaada baje hain raat ke bara lage hai wafur-e-arzu-e-wasl 'shahid' fasad-e-nafs ka mara lage hai