muntazir insan apne fikr ki tamjid ka

muntazir insan apne fikr ki tamjid ka
waqt aaega kabhi insan ki tauhid ka

sochta hun sochna bhi aadmi ka jurm hai
har yaqin talib hai mere fikr ki tahdid ka

rasta tamir-e-millat ka nikal aaega kuchh
wa ho darwaza gar istifham ka tanqid ka

zer ho jae zabardasti ka lashkar ek din
ho sabaq tashdid ka hissa faqat tajwid ka

jabr ki basti mein bhi rae ki aazadi mile
sab ko istehqaq ho taid ka tardid ka

ho gai farsuda waiz aap ki ye dastan
aa gaya hai waqt ab afkar ki tahdid ka

guftugu ke fan se hain na-ashna kyon log sab
har koi mushtaq apni soch ki taid ka

soch par pahre 'hidayat' hon to kya ho irtiqa
mujtahid bhi ban gaya hai khosha-chin taqlid ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close